Monday, October 17, 2011

दर्द की sihai


Dard ki sihai se likh raha hun…
Apne tanhaiyon ko alfason se bayan kar raha hun …
Tu yeh mat soch ki yeh gham sirf tere hain….
Tere har gham pe moti baha raha hun mein…
Mujhe chah hain tere ehsaas ki….
Teri dhadkan ko mehsoos kar raha hun …
Yeh andheri raat kaat rahi hain mujhe….
Tere liye duaan kar raha hun mein…
Tere saath beetaye hue pal yaad hain mujhe…
Unhe yaad karke saasein todd raha hun….
Zindagi is maud pe le aayegi ….
Jahan teri saath choot jayegi..
Soch kar dil daarta hain mera…
Ek chotte se bache ki tarah sisakta hain yeh mera…
Aankhein meri num hain….
Teri bina yeh duniya jeene ke liye kum hain..
Na chah hain paison ki, na shourat ki….
Bas tere dil mein rehna hain…
Aa ja todd ke sab rishtey naate…
Yeh aashiq tera hi apna hain…….
Tere saath beetaye hue pal yaad hain mujhe…
Unhe yaad karke saasein todd raha hun….

तेरा intezar


Meri zindagi mein hona tera…..

Jaise parbat par thandi hawaon ka behna mera….

mujhse nazrein jhuka kar Sharmana tera….

Jaise saason ka tutna mera…

Mere kaandhe pe sir ko chukana tera….

Jaise nadi ko tharti pe tutna mera ….

Tere labhon se takrana mera…

Jaise ruh ko choona tera….

Teri pyari baaton pe muskurana mera….

Tere intezar mein aanhein bharna mera….

Yeh guzra hua pal tha mera….

Yeh guzra hua aaj hain mera….

Ki ab sirf intezar hain tera…

Sirf intezar hain tera…